आनंदित रहो प्रभु में आनंदित रहो Aanandit raho Prabhu mei aanandit raho

आनंदित रहो प्रभु में आनंदित रहो
मैं फिर से कहता हूँ सदा आनंदित रहो

जब तुम्हारा मन बोझिल हो
चलते चलते थक गये हो
अपना बोझ प्रभु पर डाल दो
उसको है तुम्हाराख़्याल

आनंदित रहो…

जब तुम्हारा प्राण व्याकुल हो
जीवन में निराशा हो
रखो अपना भरोसा प्रभु पर
जीवन को आनंद से भरेगा

आनंदित रहो…

जब तुम्हें लोग सताया करें
मेरे कारण तुम्हारी निंदा हो
हिम्मत ना हारो सब कुछ सह लो
स्वर्ग में है तुम्हारा बड़ा प्रतिफल

आनंदित रहो…


Aanandit raho Prabhu mei aanandit raho
mai phir se kahta hoon sada aanandit raho

jab tumhara man bojhil ho
chalte chalte thak gaye ho
apna bojh Prabhu pe daal do
usko hei tumhara khayal

aanandit raho…

jab tumhara pran vyakul ho
jeevan mei niraasha ho
rakho apna bharosa Prabhu par
jeevan ko aanand se bharega

aanandit raho…

jab tumhe log sataya karein
mere kaaran tumhari ninda ho
himmat na haro, sab kuch sah lo
swarg me hei tumhara bada pratifal

aanandit raho…

Comments

Leave a Reply